Aah ko chahiye ik umr asar hone tak
Kaun jita hai teri zulf k sar hone tak
Dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang
Dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak
Ashiqi sabr-talab aur tamanna betab
Dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak
Hum ne mana k tagahful na karoge lekin
Khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak

































LinkBack URL
About LinkBacks
















